maiñ jab bhī koī manzar dekhtā huuñ
zarā auroñ se haT kar dekhtā huuñ
kabhī maiñ dekhtā huuñ us kī rahmat
kabhī maiñ apnī chādar dekhtā huuñ
nazar kā zāviya badlā hai jab se
maiñ kuuze meñ samundar dekhtā huuñ
kabhī mere liye the phuul jin meñ
ab un hāthoñ meñ patthar dekhtā huuñ
sabhī haiñ mubtalā-e-ḳhud-farebī
ajab duniyā kā manzar dekhtā huuñ
nahīñ badlāv ke āsār kuchh bhī
abhī hālāt abtar dekhtā huuñ
muqaddar meñ likhī vīrāniyoñ meñ
zarā sā rañg bhar kar dekhtā huuñ
nazar aatā hai madfan ḳhvāhishoñ kā
kabhī jab apne andar dekhtā huuñ
sunā hai aag hai us kā sarāpā
chalo bāhoñ meñ bhar kar dekhtā huuñ
basīrat mujh meñ hai 'nāyāb' aisī
maiñ har qatre meñ gauhar dekhtā huuñ