markaz meñ thā so dhyān meñ rakkhā gayā mujhe
har vaqt imtihān meñ rakkhā gayā mujhe
is ke sivā nahīñ hai masīhā mirā koī
ik umr is gumān meñ rakkhā gayā mujhe
atrāf mere khīñchā gayā ḳhauf kā hisār
Dahte hue makān meñ rakkhā gayā mujhe
merī zabāñ se quvvat-e-goyā.ī chhīn kar
gūñgoñ kī dāstān meñ rakkhā gayā mujhe
jauhar-shanās nazroñ se ojhal nahīñ thā maiñ
kyuuñ ko.ele kī kaan meñ rakkhā gayā mujhe
pahre biThā diye ga.e har baat par mirī
dāñtoñ tale zabān meñ rakkhā gayā mujhe
achchhā mazāq hai ye mirī sādgī ke saath
fashion-zada dukān meñ rakkhā gayā mujhe
karnā hī thā sipurd jo qātil ko ek din
is darja kyoñ amaan meñ rakkhā gayā mujhe
chāroñ taraf se mujh pe zamīñ tañg kī ga.ī
kahne ko āsmān meñ rakkhā gayā mujhe
talvār kā savāl yahī jañg-jū se thā
kyuuñ aaj tak miyān meñ rakkhā gayā mujhe
harakat pe hai jumūd to iz.hār par sukūt
'nāyāb' kis jahān meñ rakkhā gayā mujhe