bayān-e-hāl mufassal nahīñ huā ab tak
jo mas.ala thā vahī hal nahīñ huā ab tak
nahīñ rahā kabhī maiñ is kī dastaras se duur
mirī nazar se vo ojhal nahīñ huā ab tak
bichhaḌ ke tujh se ye lagtā thā TuuT jā.ūñgā
ḳhudā kā shukr hai pāgal nahīñ huā ab tak
jalā.e rakkhā hai maiñ ne bhī ik charāġh-e-umīd
tumhārā dar bhī muqaffal nahīñ huā ab tak
mujhe tarāsh rahā hai ye kaun barsoñ se
mirā vajūd mukammal nahīñ huā ab tak
darāz dast-e-tamannā nahīñ kiyā maiñ ne
karam tumhārā musalsal nahīñ huā ab tak
baras kuchh aur mirī jaan TuuT ke mujh par
ye ḳhitta jism kā jal-thal nahīñ huā ab tak
na aayā baaz vo 'nāyāb' apnī fitrat se
vafā kā shahr bhī jañgal nahīñ huā ab tak