ik justujū sadā hī se zehn-e-bashar meñ hai
jab se milī zamīn musalsal safar meñ hai
har-chand mere saath udāsī safar meñ hai
raushan charāġh-e-shauq magar chashm-e-tar meñ hai
mallāh kah rahā hai ki sāhil hai bas qarīb
lekin mujhe pata hai ki kashtī bhañvar meñ hai
tum se kabhī jo bol na paayā maiñ ek baat
ban kar ḳhalish vo aaj bhī mere jigar meñ hai
barbādiyoñ kī zad pe faqat shāḳh-e-gul nahīñ
gulshan tamām narġha-e-barq-o-sharar meñ hai
jab se maiñ un ke halqa-e-bai.at meñ aa gayā
'nāyāb' ek raushnī fikr-o-nazar meñ hai