kyuuñ zulm Dhā rahā huuñ maiñ apne vajūd par
kīchaḌ uchhāltā huuñ maiñ apne vajūd par
inkār kar ke ḳhud hī maiñ apne vajūd kā
ġhussa utārtā huuñ maiñ apne vajūd par
kyā chāhtā huuñ ḳhud se mujhe ḳhud nahīñ patā
aur ta.an chhoḌtā huuñ maiñ apne vajūd par
Dar hai koī churā na le mujh se kabhī mujhe
pahre lagā rahā huuñ maiñ apne vajūd par
kar ke ḳhud apne saare subūtoñ ko mustarad
uñglī uThā rahā huuñ maiñ apne vajūd par
'nāyāb' mujh se faiz uThātā hai har koī
kab dāġh-e-bad-numā huuñ maiñ apne vajūd par