Jahangeer nayab

tamasha apna sar-e-rah-guzar banaya jae

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
tamāsha apnā sar-e-rah-guzar banāyā jaa.e
jo rāhzan hai use rāhbar banāyā jaa.e
salīqa ye bhī to hai sar uThā ke jiine kā
jo ham meñ aib haiñ in ko hunar banāyā jaa.e
tamām umr isī kaam meñ rahe masrūf
har ek dil meñ mohabbat kā dar banāyā jaa.e
ḳhushī kā kyā hai hamesha fareb detī hai
to apne ġham ko hī ab mo'atabar banāyā jaa.e
jahāñ na paḌ sake saaya bhī koī nafrat kā
mohabbatoñ kā ik aisā nagar banāyā jaa.e
abhī nuqūsh numāyāñ nahīñ hue haiñ mire
tarāsh kar mujhe bār-e-digar banāyā jaa.e
koī nahīñ abhī tayyār saath chalne ko
so apne saa.e ko hī ham-safar banāyā jaa.e
sab apnī zaat meñ gum haiñ ye soch kar 'nāyāb'
parā.e dard ko kyuuñ dard-e-sar banāyā jaa.e
Top Urdushayar.com