is tarah kho gayā huuñ maiñ apne vajūd maiñ
ab ḳhud ko DhūñDtā huuñ maiñ apne vajūd meñ
aadat sī paḌ ga.ī hai jo tanqīs kī mujhe
kiiḌe nikāltā huuñ maiñ apne vajūd meñ
kuchh is tarah se Dhaa.e haiñ hālāt ne sitam
gum ho ke rah gayā huuñ maiñ apne vajūd meñ
tum to mire vajūd kā hissa na the kabhī
kyoñ tum ko DhūñDhtā huuñ maiñ apne vajūd meñ
qaa.em hai mujh meñ mere taḳhayyul kī saltanat
be-tāj bādshā huuñ maiñ apne vajūd meñ
mujh par mire vajūd kā har naqs hai ayaañ
ḳhud ek aa.ina huuñ maiñ apne vajūd meñ
'nāyāb' inqilāb-e-zamāna kī hai dalīl
badlāv dekhtā huuñ maiñ apne vajūd meñ