Jahangeer nayab

harf se tasir lafzon se mani le gaya

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
harf se tāsīr lafzoñ se ma.anī le gayā
jaate jaate vo mirī jādū-bayānī le gayā
us se thiiñ mansūb jo yādeñ suhānī le gayā
chhīn kar mujh se sabhī apnī nishānī le gayā
shāh-rāh-e-zīst par mujh ko akelā chhoḌ kar
jaane vaalā mujh se lutf-e-zindagānī le gayā
mez par nanhā sā ik kāġhaz kā TukḌā chhoḌ kar
zindagī kī har ḳhushī vo nā-gahānī le gayā
ham udhar masrūf the aur vaqt kā sail-e-ravāñ
kyā patā kab chhīn kar ham se javānī le gayā
muddatoñ se sākit-o-jāmid hai ye nāyāb dil
kaun is dariyā kī maujoñ kī ravānī le gayā
Top Urdushayar.com