Jahangeer nayab

meri bala se zamana KHilaf ho jae

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
mirī balā se zamāna ḳhilāf ho jaa.e
maiñ chāhtā huuñ tirā zehn saaf ho jaa.e
ye abr-pāra nahīñ dost ashk-e-girya hai
ye pattharoñ pe gire to shigāf ho jaa.e
agar hai shauq baḌoñ se mukālme kā tujhe
durust pahle tirā shiin qaaf ho jaa.e
rahe ḳhayāl ki aa.e na ehtirām meñ farq
agar kisī se tirā iḳhtilāf ho jaa.e
charāġh ham ne mohabbat ke kar diye raushan
havā kā ḳhauf kise hai ḳhilāf ho jaa.e
ab is tarah jo mujhe rad karoge mumkin hai
tumhārī zid meñ mirā e'tirāf ho jaa.e
Top Urdushayar.com