apne hisār-e-zāt meñ uljhā huā huuñ maiñ
ya.anī ki kā.enāt meñ uljhā huā huuñ maiñ
qaabū meñ aaj dil nahīñ kyā ho gayā mujhe
phir aaj ḳhvāhishāt meñ uljhā huā huuñ maiñ
jaise ki hone vaalī hai anhonī phir koī
har-pal tavahhumāt meñ uljhā huā huuñ maiñ
kuchh apnā farz pyaar tirā fikr-e-rozgār
kitne hī vārdāt meñ uljhā huā huuñ maiñ
fursat kahāñ banā.ūñ marāsim na.e na.e
pichhle ta.alluqāt meñ uljhā huā huuñ maiñ
sab haiñ asīr-e-ranj-o-alam is jahān meñ
tanhā kahāñ hayāt meñ uljhā huā huuñ maiñ
'nāyāb' jab nahīñ hai vafāoñ kā us ko paas
phir kyuuñ takallufāt meñ uljhā huā huuñ maiñ