ab agar aur chup rahūñgā maiñ
phir ye tai he ki phaT paḌūñgā maiñ
ek aisā bhī vaqt aa.egā
tum sunoge faqat kahūñgā maiñ
naaz uThā.ūñgā naaz uThāne tak
tere aage nahīñ bichh.uñgā maiñ
dekhnā terī rahbarī ke baġhair
apnī manzil talāsh lūñgā maiñ
tum ko jaanā hai shauq se jaao
ab ḳhushāmad nahīñ karūñgā maiñ
jab kabhī tujh se sāmnā hogā
ajnabī kī tarah milūñgā maiñ
kyā sabab hai mirī ḳhamoshī kā
shor thamne do phir kahūñgā maiñ
aa.ina rakh ke sāmne 'nāyāb'
pāgaloñ kī tarah hañsūñgā maiñ