Jahangeer nayab

junun shauq yaqin zabte se aai hai

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
junūn shauq yaqīñ zābte se aa.ī hai
uḌaan mujh meñ mire hausle se aa.ī hai
mujhe bhī to kabhī bainassutūr meñ rakhtā
phir aaj ek sadā hāshiye se aa.ī hai
bhulānā jab kabhī chāhā hai maiñ ne maazī ko
nikal ke yaad tirī hāfize se aa.ī hai
jise ḳhayāl kā markaz kabhī banāyā thā
sunahrī dhuup usī dā.ere se aa.ī hai
yaqīn kar lo to ā.eñge sab nazar apne
tumhāre dil meñ kajī vāhime se aa.ī hai
kiyā hai maiñ ne ḳhud apnā muhāsba aksar
tamīz mujh meñ isī tajarbe se aa.ī hai
jo maiñ ne soch kā badlā hai zāviya 'nāyāb'
har ek chiiz nazar qā.ede se aa.ī hai
Top Urdushayar.com