Jahangeer nayab

ye kaun jalwa-fagan hai meri nigahon mein

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
ye kaun jalva-fagan hai mirī nigāhoñ meñ
qadam qadam pe barastā hai nuur rāhoñ meñ
bharosa had se sivā thā mujhe kabhī jis par
mire ḳhilāf hai shāmil vahī gavāhoñ meñ
supurdagī kā ye aalam bhī kyā qayāmat hai
simaT ke yuuñ terā aa jaanā merī bāhoñ meñ
tirī panāh meñ rah kar bhī jo nahīñ mahfūz
mirā shumār hai aise hī be-panāhoñ meñ
kab āsmān kā phahTtā hai dil ye dekhnā hai
badal rahī haiñ mirī siskiyāñ karāhoñ meñ
maiñ kaise pesh karūñ da.avā pārsā.ī kā
maiñ ek umr mulavvis rahā gunāhoñ meñ
banā hai jab se vo 'nāyāb' ham-safar merā
bichhe hue haiñ masarrat ke phuul rāhoñ meñ
Top Urdushayar.com