bā.is-e-āsūdgī hai hashr-sāmānī mujhe
raas aatī hai baḌī mushkil se āsānī mujhe
dekh kar terī ināyat aur tirā lutf-o-karam
khal rahī hai yaar apnī tañg-dāmānī mujhe
kar rahā hai zehn meñ gardish koī dhuñdlā sā aks
lag rahī hai us kī sūrat jaanī pahchānī mujhe
sochne kā zāviya maiñ ne badal Daalā hai dost
ab pareshānī nahīñ lagtī pareshānī mujhe
sauñp dī us ne mujhe apne badan kī saltanat
mil ga.ī ho muflisī meñ jaise sultānī mujhe
luqma-e-girdāb hone hī ko thā maiñ aur phir
daf.atan aa.ī nazar ik mauj-e-imkānī mujhe
aaj phir khulne lagī hai mujh pe ramz-e-kā.enāt
aaj phir hone lagī hai ḳhud pe hairānī mujhe
sochtā huuñ uulā misrā jab kabhī 'nāyāb' maiñ
ḳhud ko likhvātā hai baḌh kar misra-e-sānī mujhe