Jahangeer nayab

maine koshish ki bahut lekin kahan yakja hua

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
maiñ ne koshish kī bahut lekin kahāñ yakjā huā
saf.ha-e-hastī kā shīrāza rahā bikhrā huā
zehn kī khiḌkī khulī dil kā darīcha vā huā
tab jahāñ ke dard se rishta mirā gahrā huā
kyā patta kab kaun us kī zad pe aa jaa.e kahāñ
vaqt kī raftār se har shaḳhs hai sahmā huā
kis kī yaad aa.ī mo.attar ho rahe haiñ zehn-o-dil
kis kī ḳhushbū se hai saarā pairahan mahkā huā
peḌ ke nīche shikārī jaal phailā.e hue
aur parinda shāḳh par baiThā Darā sahmā huā
do-qadam bhī ab tumhāre saath chalnā thā muhāl
raah tum ne ḳhud alag kar lī chalo achchhā huā
zindagī har zāviye se dekhtā huuñ maiñ tujhe
hai mirī fikr-o-nazar kā dā.era phailā huā
chhap ga.ī paanī meñ apnī chhab dikhā kar jal-parī
aaj phir 'nāyāb' mere saath ik dhoka huā
Top Urdushayar.com