har ḳhatā us kī hamesha darguzar kartī huī
fāsloñ ko dil kī chāhat muḳhtasar kartī huī
zehn-o-dil kī raushnī ko tez-tar kartī huī
guftugū sīdhe tirī dil par asar kartī huī
mere jazboñ ke fusūñ meñ qaid vo hotā huā
us ke lahje kī khanak mujh par asar kartī huī
zindagī kī tez-gāmī aur daulat kī havas
aane vaale kal se ham ko be-ḳhabar kartī huī
hausla detā huā sā mujh ko merā e'timād
be-yaqīnī dil meñ paidā Dar pe Dar kartī huī
bholā-pan aur sādgī par us kī maiñ miTtā huā
ek sūrat mohnī sī dil meñ ghar kartī huī
kis ko ye mālūm ai 'nāyāb' nisbat kis kī hai
mere har naqsh-e-qadam ko mo'atabar kartī huī