Jahangeer nayab

achchha hun ya bura hun mujhe kuchh nahin pata

Jahangeer nayab

Kishanganj, Bihar, India

1985
achchhā huuñ yā burā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
nazroñ meñ tere kyā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
kyā tujh meñ DhūñDhtā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
maiñ terā ho gayā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
āgāh huuñ maiñ manzil-e-maqsūd se magar
kis samt jā rahā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
āvāz de rahā hai mujhe kaun baar baar
kis ke liye rukā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
itnā mujhe patā hai tumheñ huuñ aziiz maiñ
lekin tumhārā kyā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
dīmak kī tarah chaaT rahā hai jo kaun hai
kis ġham meñ ghul rahā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
maiñ ḳhuub jāntā huuñ ye manzil nahīñ mirī
aa kar kahāñ rukā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
rahtā huuñ kis ḳhayāl meñ 'nāyāb' in dinoñ
kyā kyā maiñ sochtā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
Top Urdushayar.com