kahā hai maiñ ne ye kab māhtāb mil jaa.e
mujhe to bas mirī āñkhoñ kā ḳhvāb mil jaa.e
maiñ is galī se yahī soch kar guzartā huuñ
kitāb-e-zīst kā gum-gashta baab mil jaa.e
sabhī gunāh maiñ hañs kar qubūl kar lūñgā
faqīh-e-shahr kā tujh ko ḳhitāb mil jaa.e
mile faqat mire hisse kī raushnī mujh ko
talab kahāñ hai koī āftāb mil jaa.e
ba-qadr-e-zarf hī garche savāl hai merā
ajab nahīñ ki mujhe be-hisāb mil jaa.e
maiñ bahr-e-fikr meñ huuñ ġharq is liye 'nāyāb'
guhar mujhe bhī koī zer-e-āb mil jaa.e