mujhe lagte haiñ pyāre titliyāñ jugnū parinde
ye zinda isti.āre titliyāñ jugnū parinde
yahīñ miltī haiñ dhartī kī hadeñ bāġh-e-iram se
vo dekho abr-pāre titliyāñ jugnū parinde
bas ik tum hī nahīñ manzar meñ varna kyā nahīñ hai
surāhī chāñd taare titliyāñ jugnū parinde
abhī ye kaun aayā sehn-e-gul meñ dhīre dhīre
aḌe ḳhushbū ke dhāre titliyāñ jugnū parinde
yahāñ ḳhatre meñ hai ḳhud aadmī kī zaat apnī
ji.eñ kis ke sahāre titliyāñ jugnū parinde
kitāb-e-zindagī kī ye muqaddas āyateñ haiñ
hiran chītal chikāre titliyāñ jugnū parinde
'zafar' ye kaun ham se chhīn kar bachpan hamārā
uḌātā hai ġhubāre titliyāñ jugnū parinde