pas-e-marg-e-tamannā kaun dekhe
mire naqsh-e-kaf-e-pā kaun dekhe
koī dekhe mirī āñkhoñ meñ aa kar
magar dariyā meñ sahrā kaun dekhe
ab is dasht-e-talab meñ kaun aa.e
sarāboñ kā tamāsha kaun dekhe
agarche dāman-e-dil hai darīda
darūn-e-naḳhl-e-tāza kaun dekhe
bahut marbūt rahtā huuñ maiñ sab se
mirī be-rabt duniyā kaun dekhe
shumār-e-ashk-e-sham-e-bazm mumkin
hamārā dil pighaltā kaun dekhe
maiñ kyā dekhūñ ki tum aa.e ho milne
khulī āñkhoñ se sapnā kaun dekhe
maiñ jaisā huuñ maiñ vaisā to nahīñ huuñ
magar jaisā huuñ vaisā kaun dekhe