Mohammad Ahmad

koi mehrban nahin sath mein koi hat bhi nahin hat mein

Mohammad Ahmad

Karachi, Sindh, Pakistan

1978
koī mehrbāñ nahīñ saath meñ koī haat bhī nahīñ haat meñ
haiñ udāsiyāñ mirī muntazir sabhī rāstoñ meñ jihāt meñ
hai ḳhabar mujhe ki ye tum nahīñ kasī ajnabī ko bhī kyā paḌī
sabhī āshnā bhī haiñ rū-ba-rū to ye kaun hai mirī ghaat meñ
ye udāsiyoñ kā jo rañg hai koī ho na ho mire sañg hai
mire sher meñ mirī baat meñ mirī ādatoñ meñ sifāt meñ
kareñ e'tibār kisī pe kyā ki ye shahr shahr-e-nifāq hai
jahāñ muskurāte haiñ lab kahīñ vahīñ tanz hai kisī baat meñ
chalo ye bhī maanā ai ham-navā ki taġhayyurāt ke mā-sivā
nahīñ mustaqil koī shai yahāñ to ye hijr kyuuñ hai sabāt meñ
mirī dastaras meñ bhī kuchh nahīñ, nahīñ tere bas meñ bhī kuchh nahīñ
maiñ asīr-e-kākul-e-ishq huuñ mujhe kyā milegā najāt meñ
Top Urdushayar.com