juz rishta-e-ḳhulūs ye rishta kuchh aur thā
tum mere aur kuchh maiñ tumhārā kuchh aur thā
jo ḳhvāb tum ne mujh ko sunāyā thā aur kuchh
ta.abīr kah rahī hai ki sapnā kuchh aur thā
ham-rāhiyoñ ko jashn manāne se thī ġharaz
manzil hanūz duur thī rasta kuchh aur thā
ummīd-o-bīm, ishrat-o-usrat ke darmiyāñ
ik kashmakash kuchh aur thii, kuchh thā kuchh aur thā
ham bhī the yuuñ to mahv-e-tamāshā-e-dahr par
dil meñ khaTak sī thī ki tamāshā kuchh aur thā
jo baat tum ne jaisī sunī Thiik hai vahī
maiñ kyā kahūñ ki yaar ye qissa kuchh aur thā
'ahmad' ġhazal kī apnī ravish apne taur haiñ
maiñ ne kahā kuchh aur hai sochā kuchh aur thā