kaf-e-ḳhizāñ pe khilā maiñ is e'tibār ke saath
ki har numū kā ta.alluq nahīñ bahār ke saath
vo ek ḳhamosh parinda shajar ke saath rahā
chahakne vaale ga.e bād-e-sāzgār ke saath
khule daroñ se talabgār ḳhvāb-gāheñ magar
maiñ jāgtā rahā ik ḳhvāb-ham-kanār ke saath
kalī khilī hai sar-e-shāḳh aur ye kahtī hai
ki koī dekhe tamanna-e-ḳhush-gavār ke saath
vo mujh ko vo na lagā dekhtā sisaktā huā
nigāh-e-zard ke saath aur dil-e-figār ke saath
madār-e-vaqt vo gunjā.isheñ zarā phir se
ki paḌ raheñ kisī dīvār-e-sāya-dār ke saath