muskurāte hue phūloñ kā araq sab kā hai
un ke jalvoñ se ayaañ hai jo sabaq sab kā hai
jis ko paḌhne se mirī ziist ziyā-bār huī
us pe tahrīr ḳhudā kī hai varaq sab kā hai
jitnī hājat ho miyāñ utnā hī hissa lenā
apne atrāf ke sāmān pe haq sab kā hai
muTThiyāñ bhar ke lahū maiñ ne uchhālā barsoñ
is se tashkīl huā rañg-e-shafaq sab kā hai
log kis tarah dikhāte haiñ tabassum kī numūd
ruuh kajlā.ī hai chehra bhī to faq sab kā hai