Khursheed Alig

zindagani ki masarrat bhi juda humse hui

Khursheed Alig

Patna, Bihar, India

1956
zindagānī kī masarrat bhī judā ham se huī
jurm ye thā ki na tardīd-e-ḳhudā ham se huī
ham gunahgār sahī phir bhī tire bande haiñ
har shab-e-ġham meñ ḳhudā terī sanā ham se huī
sar uThāte hue chalte rahe sahrāoñ meñ
kisī hālat meñ na majrūh anā ham se huī
koī aisā thā jo kahtā na buroñ ko bhī burā
bas tire shahr meñ ye rasm adā ham se huī
ham to bas tere sahāre hī chale haiñ ab tak
jaane kyoñ aaj tū bargashta sabā ham se huī
half le kar jo kaTahre meñ ga.e ham 'ḳhurshīd'
terā hī naam liyā itnī ḳhatā ham se huī
Top Urdushayar.com