Khursheed Alig

bhari mahfil mein zabt-e-gham ba-asani bhi karte hain

Khursheed Alig

Patna, Bihar, India

1956
bharī mahfil meñ zabt-e-ġham bā-āsānī bhī karte haiñ
magar tanhā.ī meñ ashkoñ kī arzānī bhī karte haiñ
miyāñ ham ḳhāksārī meñ javāb apnā nahīñ rakhte
zarūrat aa paḌe to phir hama-dānī bhī karte haiñ
unheñ mat dekheñ ahl-e-dil hiqārat kī nigāhoñ se
faqīrān-e-haram shahroñ pe sultānī bhī karte haiñ
shikāyat be-sabab karte haiñ apne gum-shuda dil kī
kabhī aap apnī chīzoñ kī nigahbānī bhī karte haiñ
khaḌe haiñ sab saf-e-insāniyat meñ haath bāñdhe par
zarā socheñ kabhī kyā kār-e-insānī bhī karte haiñ
yahī kaasa liye 'ḳhurshīd' jo phirte haiñ galiyoñ meñ
yahī jab vaqt aa jaa.e to man-mānī bhī karte haiñ
Top Urdushayar.com