Khursheed Alig

maine jis shaKHs ki barson se taraf-dari ki

Khursheed Alig

Patna, Bihar, India

1956
maiñ ne jis shaḳhs kī barsoñ se taraf-dārī kī
us ne mere hī liye jañg kī tayyārī kī
mere baare meñ vo tahqīq kiyā kartā hai
mil ga.ī mujh ko sanad merī vafādārī kī
jin se īmān kī tasvīr hai TukḌe TukḌe
guftugū vo bhī kiyā karte haiñ ḳhuddārī kī
chal diye jānib-e-manzil ko ba-hamrāh-e-junūñ
ham ne to fikr na kī raah kī dushvārī kī
bazm-e-yārāñ meñ jo ḳhāmosh rahā kartā thā
aaj us shaḳhs ne lafzoñ kī sharar-bārī kī
ishq meñ dil ko tasallī nahīñ milne vaalī
phir mire saath mire nafs ne makkārī kī
uTh gayā aaj naqāb us ke ruḳh-e-zebā se
toḌ dī us ne vo zanjīr hī dildārī kī
jis jahāñ meñ yuuñ adāvat kī chhurī chaltī ho
kyā zarūrat vahāñ 'ḳhurshīd' ravādārī kī
Top Urdushayar.com