kahā na kuchh bhī dabā dī ga.ī mirī āvāz
uḌā na thā ki shikasta hue par-e-parvāz
ajiib qaid meñ dam hai ye kaisā jiinā hai
ki zindagī huī jaatī hai maut kī ġhammāz
taḌap taḌap ke sar-e-dār mar gayā koī
hayāt kahiye ki marne hī kā hai ik andāz
jigar kā soz mayassar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
jigar ke soz se sāz-e-hayāt bā-āvāz
koī salīb pe kyā soch ke laTaktā hai
masīh-e-vaqt se pūchhe zarā koī ye raaz
firāq-e-yār meñ har lamha zindagī hai azaab
darāz silsila-e-zīst hai bahut hī darāz
ġham-e-hayāt ne shā.ir banā diyā 'ḳhurshīd'
vagarna maiñ kahāñ aur shā.irī kā ye e.azāz