apne aañsū chhupā nahīñ sakte
ham tirā ġham uThā nahīñ sakte
dil dukhāte ho bevafā kah kar
kyā mujhe aazmā nahīñ sakte
ban ga.ī hai jo dāstān-e-hayāt
ham vo qissa bhulā nahīñ sakte
kaise kah deñ ki tum masīhā ho
ek murda jalā nahīñ sakte
ab kahāñ vo dimāġh hai 'ḳhurshīd'
ab to kuchh gungunā nahīñ sakte