Khursheed Alig

rishta-e-dil ko maine toD diya

Khursheed Alig

Patna, Bihar, India

1956
rishta-e-dil ko maiñ ne toḌ diyā
baat karnā bhī un se chhoḌ diyā
ab na aañsū haiñ aur na aaheñ haiñ
dil ko un kī taraf se moḌ diyā
un ke jaane pe ye huā mahsūs
ruuh ne goyā jism chhoḌ diyā
aable chalne meñ jo the haa.il
ḳhār-e-sahrā ne un ko phoḌ diyā
hai yaqīnan vo qābil-e-tausīf
jis ne TuuTe diloñ ko joḌ diyā
vaqt kā zor us pe kyā jis ne
panja-e-vaqt ko maroḌ diyā
us ne aañsū kī aarzū kī thī
ham ne 'ḳhurshīd' dil nichoḌ diyā
Top Urdushayar.com