dard ab had se guzar kar lā-davā hone ko hai
aap kī ulfat meñ dekheñ aur kyā hone ko hai
aap ke abrū-e-pur-ḳham ke karishme al-amāñ
ik ishāre meñ na jaane kyā se kyā hone ko hai
be-hayā.ī daur-e-hāzir kī ye kahtī hai mujhe
husn parde se nikal kar bad-numā hone ko hai
taare Takrāne ko haiñ aur zalzale aane ko haiñ
az-zamīñ-tā-āsmāñ mahshar bapā hone ko hai
raat din kaTtī hai ab umr-e-azīz is fikr meñ
hashr meñ pesh-e-ḳhudā 'ḳhurshīd' kyā hone ko hai