ye māh-pāre to dil ko lubhā.e jaate haiñ
jo ġham ke maare haiñ dil ko gañvā.e jaate haiñ
shab-e-firāq ye ākāsh se ḳhabar aa.ī
ki ġham-nasīboñ se taare ginā.e jaate haiñ
hayāt kyā hai ki afsāna dard-nākī kā
fasāne dard ke har dam sunā.e jaate haiñ
jahān-e-kohna ho yā nau ye vo jahāñ hai jahāñ
tamāshe ġham ke hamesha dikhā.e jaate haiñ
agar haiñ harf-e-ġhalat kī tarah nahīñ ham log
jahāñ ke lauh se phir kyoñ miTā.e jaate haiñ
ajiib haal hai duniyā kī bazm kā 'ḳhurshīd'
qadam qadam pe yahāñ dil jalā.e jaate haiñ