Khursheed Alig

ye na samjho ki faqat hai dil ke bahlane ka nam

Khursheed Alig

Patna, Bihar, India

1956
ye na samjho ki faqat hai dil ke bahlāne kā naam
āshiqī hai ishq meñ had se guzar jaane kā naam
chaar din kī zindagī apne liye kaafī nahīñ
aur kuchh lamhoñ pe likh de apne mastāne kā naam
ġharq kar de mujh ko apnī chāhatoñ kī jhiil meñ
sham.a tū hai to miTā de apne parvāne kā naam
yuuñ dabe paañv na mere ghar meñ aayā kījiye
varna phir badnām ho jā.egā dīvāne kā naam
un ke andāz-e-mohabbat par nazar to Dāliye
ḳhat mujhe vo bhejte haiñ likh ke begāne kā naam
sirf sajdoñ se mukammal bandagī hotī nahīñ
bandagī hai rab ke jalve sāmne aane kā naam
chhū nahīñ saktī gunahgāroñ ko us kī uñgliyāñ
hai siyāsat be-gunāhoñ par sitam Dhāne kā naam
zindagī kī uljhanoñ ko taaq par rakh dījiye
zindagī hai dil kī dhaḌkan tez ho jaane kā naam
haañ zarā 'ḳhurshīd' in nādāñ parindoñ se to pūchh
kyoñ nahīñ lete haiñ vo pardes se aane kā naam
Top Urdushayar.com