zamīñ se āsmāñ ghabrā gayā hai
savā neze pe sūraj aa gayā hai
falak pe barq sī lahrā rahī hai
ġham-e-hastī kā bādal chhā gayā hai
jahāñ zaḳhm-e-junūñ ne aañkh kholī
har ik gul aql kā murjhā gayā hai
kisī kā dard hai aur apnā dil hai
ye shīsha sañg se Takrā gayā hai
jise kal ḳhvāb meñ dekhā thā maiñ ne
vo mere sāmne yuuñ aa gayā hai
mujhe khānā thā uf 'ḳhurshīd' ġham ko
magar mujh ko yahī ḳhud khā gayā hai