na-jāne TuuT ke kab se bikhar rahā huuñ maiñ
ki apnī zaat kā ḳhud ek sāneha huuñ maiñ
mire lahū kī zarūrat hai tere hāthoñ ko
isī tasavvur-e-rañgīñ se jī rahā huuñ maiñ
musībateñ to haiñ apnī shumār se bāhar
ki hādsāt meñ har lahza mubtalā huuñ maiñ
na-jāne kaisā safar hai ki kuchh pata hī nahīñ
chalā kahāñ se kahāñ aa ke ruk gayā huuñ maiñ
na yaad aa.e koī aur na de koī āvāz
nikal ke yādoñ kī bastī se aa gayā huuñ maiñ
anā ko toḌ ke aa jā.ūñ tere paas magar
tirā irāda na ab tak samajh sakā huuñ maiñ
phir aaj sahme hue lamhe yaad aane lage
hisār-e-dard meñ 'ḳhurshīd' ghir gayā huuñ maiñ