Khursheed Alig

qissa tabahiyon ka sunaya na jaega

Khursheed Alig

Patna, Bihar, India

1956
qissa tabāhiyoñ kā sunāyā na jā.egā
dil meñ jo ġham chhupā hai batāyā na jā.egā
aḳhlāq se hasīñ koī duniyā meñ shai nahīñ
ye vo charāġh hai jo bujhāyā na jā.egā
āzād apne aap ko samjheñge us ghaḌī
jab ḳhuun be-basoñ kā bahāyā na jā.egā
nāhaq bichhā rahā hai jahāñ sāzishoñ kā jaal
islām kā vajūd miTāyā na jā.egā
sābit qadam haiñ aaj bhī ham apne qaul par
dushman ko ham se dost banāyā na jā.egā
us ne vafā kā rañg kuchh aisā chaḌhā diyā
ab dil pe koī rañg chaḌhāyā na jā.egā
zālim kā naaz uThāte haiñ 'ḳhurshīd' sab magar
mujh se kabhī ye naaz uThāyā na jā.egā
Top Urdushayar.com