zinda haiñ mire ḳhvāb ye kab yaad hai mujh ko
haañ tark-e-mohabbat kā sabab yaad hai mujh ko
tafsīl-e-ināyāt to ab yaad nahīñ hai
par pahlī mulāqāt kī shab yaad hai mujh ko
ḳhushbū kī rifāqat kā nasha TuuT rahā hai
lekin vo safar dād-talab yaad hai mujh ko
ab shaam ke hāthoñ jo giraftār hai sūraj
dopahar meñ thā qahr-o-ġhazab yaad hai mujh ko
aivān mirī ruuh ke raushan kiye jis ne
vo shoḳhi-e-yak-jumbish-e-lab yaad hai mujh ko
kuchh din se muqayyad huuñ maiñ vīrāna-e-jāñ meñ
hālāñki koī shahr-e-tarab yaad hai mujh ko
kyuuñ yaad dilāte ho mujhe chāñdnī rāteñ
paimān-e-vafā tum se hai sab yaad hai mujh ko
vo shaḳhs 'ḳhayāl' aaj jo rū-posh hai mujh meñ
the us meñ kamālāt ajab yaad hai mujh ko