raqs-e-nairañgī hai nazzāroñ ke biich
jī rahā huuñ sho.abada-kāroñ ke biich
ek duniyā ko hai luT jaane kā Dar
ek ham haiñ luT ga.e yāroñ ke biich
shikva-e-jaur-o-jafā kis se karūñ
pyaar se mahrūm huuñ pyāroñ ke biich
mulk-o-millat qaum-o-maz.hab dosto
kyā nahīñ biktā ḳharīdāroñ ke biich
azmat-e-havvā kā ik aur aa.ina
ho gayā nīlām bāzāroñ ke biich
asl rishta to zamīñ se hai mirā
yaad aayā mujh ko sayyāroñ ke biich
shauq-e-ḳhud-ārā.ī ke hāthoñ huā
ik hayūlā qaid dīvāroñ ke biich
yā-ilāhī rahm karnā aaj vo
aa ga.e chal ke talab-gāroñ ke biich
mere dam se hī huī hai raushnī
dasht-o-sahrā aur kohsāroñ ke biich
ai bahār-e-abr-e-nau jaldī baras
jal rahe haiñ ḳhvāb añgāroñ ke biich
mujh meñ hai maujūd parvāz-e-'ḳhayāl'
mo'atabar huuñ maiñ bhī fankāroñ ke biich