mohabbatoñ kī masāfat se kaT ke dekhte kyā
musāfir-e-shab-e-hijrāñ palaT ke dekhte kyā
surūr-e-ishq meñ gum ho ga.e the ham donoñ
havā-e-dāman-e-shab se lipaT ke dekhte kyā
tilism-e-yār rag o pai meñ Dhal rahā thaa, ham
nashāt o ġham ke sahīfe ulaT ke dekhte kyā
bahār-e-nau ko janam de rahī thī vasl kī shab
ham āfiyat kī rutoñ meñ simaT ke dekhte kyā
thā sail-e-hasrat-e-dil dushman-e-hayāt magar
rah-e-baqā bhī usī meñ thī haT ke dekhte kyā