ye baat munkashif huī charāg ke baġhair bhī
maiñ DhūñD lūñgā har ḳhushī charāg ke baġhair bhī
huā thā jis jagah kabhī visāl-e-yār dosto
hai us jagah pe raushnī charāg ke baġhair bhī
likkhī ga.ī haiñ jis ke saath zindagī kī manzileñ
vo aa milegā aadmī charāg ke baġhair bhī
masarratoñ ke qāfile luTā rahī hai phir mujhe
tirī ye ḳhud-supurdagī charāg ke baġhair bhī
maiñ tazkira karūñ to kyā karūñ jamāl-e-yār kā
damak rahī thī dilkashī charāg ke baġhair bhī
tumhārī ek yaad be-shumār hasratoñ ke rañg
nigāh meñ sajā ga.ī charāg ke baġhair bhī
gila kisī se kyuuñ karūñ guzar hī jā.egī 'ḳhayāl'
ye muḳhtasar sī zindagī charāg ke baġhair bhī