tahlīl mausamoñ meñ kar ke ajab nasha sā
phailā huā hai har-sū kuchh din se rat-jagā sā
milte haiñ roz un se hasrat kī sarhadoñ par
rahtā hai phir bhī haa.il kyuuñ jaane fāsla sā
barsoñ ke sab marāsim toḌe haiñ us ne aise
pal bhar meñ TuuT jaa.e jis tarah aa.inā sā
taaza rafāqatoñ ke pur-kaif silsiloñ meñ
rahtā hai dil na jaane ab kyuuñ Darā Darā sā
merī balā se chāhat kī laakh bārisheñ hoñ
maiñ pahle bhī thā pyāsā maiñ aaj bhī huuñ pyāsā
donoñ meñ aaj tak vo pahlī sī tishnagī hai
phir vasl meñ nahīñ kyuuñ vo lutf ibtidā sā
tanhā.iyoñ kī zad meñ rahtī hai ruuh merī
is vāste huuñ yaaro maiñ aaj kal bujhā sā
Takrā ga.e jo un se ham raah meñ achānak
ik dāstāñ huī phir vo hadisā zarā sā
jis par nigāh Thahrī jān-e-'ḳhayāl' apnī
vo ajnabī hai lekin lagtā hai āshnā sā