Rafique Khayal

dastaras mein nahin haalat tujhe kya malum

Rafique Khayal

dastaras meñ nahīñ hālāt tujhe kyā ma.alūm
ab zarūrī hai mulāqāt tujhe kyā ma.alūm
raat ke pichhle pahar nīñd-shikan tanhā.ī
kaise kartī hai savālāt tujhe kyā ma.alūm
tū ba-zid hai ki sar-e-ām parastish ho tirī
maiñ huuñ pāband-e-rivāyāt tujhe kyā ma.alūm
jashn sāvan kā yuuñ baḌh-chaḌh ke manāne vaale
zulm kyā Dhātī hai barsāt tujhe kyā ma.alūm
shāna-e-vaqt pe ab zulf-e-pareshāñ kī tarah
bikhrī rahtī hai mirī zaat tujhe kyā ma.alūm
silsila-vār dahakte haiñ sahar hone tak
sar-e-mizhgāñ mare jazbāt tujhe kyā ma.alūm
saada bāteñ thiiñ 'ḳhayāl' us kī magar un meñ ka.ī
chup the rañgīn ḳhayālāt tujhe kyā ma.alūm
Top Urdushayar.com