Rafique Khayal

hisar-e-zat se bahar na apne ghar mein hain

Rafique Khayal

hisār-e-zāt se bāhar na apne ghar meñ haiñ
ham is zamīñ kī tarah mustaqil safar meñ haiñ
bhaTak rahe haiñ añdhere musāfiroñ kī tarah
ujāle mahv-e-sukūñ dāman-e-sahar meñ haiñ
jinheñ ḳhabar hī nahīñ sharh-e-zindagī kyā hai
vo mujrmoñ kī tarah qaid apne ghar meñ haiñ
to e'tibār-e-shab-e-intizār hai jānāñ
tire firāq ke mausam mirī nazar meñ haiñ
jo be-qarār haiñ un ko kahīñ qarār nahīñ
nasīb vaale sitāroñ kī rahguzar meñ haiñ
'ḳhayāl' āmad-e-fasl-e-bahār hai shāyad
jo sust-e-gām the vo log bhī safar meñ haiñ
Top Urdushayar.com