itnī fursat nahīñ us paikar-e-pindār ke paas
ban ke aa.e vo masīhā kisī bīmār ke paas
gar yūñhī vahshateñ raqsāñ rahīñ dālānoñ meñ
koī saaya na rahegā kisī dīvār ke paas
roz āñkhoñ ko nayā tarz-e-suḳhan miltā hai
roz jaatā huuñ kisī yār-e-tarah-dār ke paas
fasl-e-ġham dekh ke nam-dīda huā charḳh-e-falak
shāyad āñkheñ hī nahīñ ā.ina-bardār ke paas
merī dīvāngī ḳhvāboñ se baġhal-gīr huī
dasht ābād kiyā jab kisī gulzār ke paas
rañg-o-nik.hat ke ḳhazāne bhī zamīñ-bos hue
chal ke ḳhud aane lagī ḳhushbū ḳharīdār ke paas
ai 'ḳhayāl' apne irādoñ ko tavānā rakkho
muflisī aatī nahīñ hai kisī fankār ke paas