Rafique Khayal

ye sach hai baham uski mohabbat bhi nahin thi

Rafique Khayal

ye sach hai baham us kī mohabbat bhī nahīñ thī
aur tark marāsim hoñ ye himmat bhī nahīñ thī
us shaḳhs kī ulfat meñ giraftār ye dil thā
jis shaḳhs ko chhūne kī ijāzat bhī nahīñ thī
kuchh zaḳhm-e-tamannā ko na thā shauq-e-mudāvā
kuchh us ko masīhā.ī kī aadat bhī nahīñ thī
the rāh-e-mohabbat meñ paḌāv ka.ī lāzim
kyā kījiye ruknā mirī fitrat bhī nahīñ thī
jo ḳhvāb-e-shikasta ko atā hausla kartī
hāsil vo junūñ-ḳhez rifāqat bhī nahīñ thī
har-chand ki afsos bichhaḌne kā hameñ thā
lekin mileñ ham phir kabhī hasrat bhī nahīñ thī
vahshat meñ charāġhāñ meñ tire qurb se kartā
afsos mayassar ye suhūlat bhī nahīñ thī
kuchh rāste dushvār manāzil ke the aur kuchh
jazboñ meñ 'ḳhayāl' apne sadāqat bhī nahīñ thī
Top Urdushayar.com