jab tirī chaah meñ dāmān-e-junūñ chaak huā
phir kahīñ jā ke mujhe ishq kā idrāk huā
yuuñ to ik jaise nazar aate haiñ chehre lekin
koī ḳhush-ḳhvāb huā aur koī ġhamnāk huā
varaq-jāñ pe likhe maiñ ne sahīfe dil ke
is havāle se bhī maiñ sho.ala-e-be-bāk huā
koī mar ke bhī zamāne meñ amar hotā hai
aur koī jiite hue bhī jasad-e-ḳhāk huā
jis kī lahroñ se janam lete haiñ sandal se badan
us samundar kā ba-sad shauq maiñ pairāk huā
ai 'ḳhayāl' ā.ina-e-husn-e-mujassam kī qasam
ḳhaak par baiTh ke maiñ sāhab-e-aflāk huā