narm lahje meñ tahammul se zarā baat karo
phir ba-sad-shauq sar-e-ām mujhe maat karo
yā nisār aaj karo mujh pe tamām apne hunar
yā nazar-band mire saare kamālāt karo
maiñ rivāyāt se bāġhī to nahīñ huuñ lekin
tum se mumkin ho to tabdīl-e-ḳhayālāt karo
ek muddat se mire dil kā nagar hai vīrāñ
aao is dasht pe tum phūloñ kī barsāt karo
fasl ujāloñ kī siyah-baḳht zamīñ uglegī
zar-nigār apne zarā kashf-o-karāmāt karo
is tarah mil ke bichhaḌnā to qayāmat hogā
mushta.il tum na mirī jaañ mire jazbāt karo
be-niyāzī to milā kartī hai duniyā se 'ḳhayāl'
tum kisī taur na tajdīd-e-ġham-e-zāt karo