kitnā jāñ-soz hai manzar mirī tanhā.ī kā
hausla mujh meñ nahīñ anjuman-ārā.ī kā
maiñ ne samjhā thā jise bā.is-e-taskīn-e-nazar
us ne sāmān kiyā hai mirī rusvā.ī kā
merī bātoñ meñ nayā rañg kahāñ se aa.e
mere dil meñ bhī hai ik zaḳhm shanāsā.ī kā
baat to jab hai ki jazboñ se sadāqat phūTe
yuuñ to da.avā hai har ik shaḳhs ko sachchā.ī kā
ruuh meñ jazba-e-ulfat ko fuzūñ paatā huuñ
jab ḳhayāl aatā hai mujh ko tirī ra.anā.ī kā
ai 'ḳhayāl' ātish-e-ehsās bhaḌak jā.egī
aap da.avā na kareñ dhuup meñ dānā.ī kā