Rafique Khayal

KHud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap

Rafique Khayal

ḳhud ko pā-basta-e-zanjīr kiye jā chup-chāp
ḳhvāb sharminda-e-ta.abīr kiye jā chup-chāp
ḳhāma-e-ranj-o-alam se ruḳh-e-kam-mā.egī par
nusrat-e-jāvedāñ tahrīr kiye jā chup-chāp
ye amal bā.is-e-taskīn-e-junūñ bhī hogā
jazba-e-ishq kī ta.amīr kiye jā chup-chāp
ġham-e-daurāñ kī aziyyat bhī to dil sahtā hai
ġham-e-jānāñ ko bhī jāgīr kiye jā chup-chāp
zaḳhm gahre to ba-zid shauq mire kartā rahā
us masīhā.ī kī tadbīr kiye jā chup-chāp
maqsad-e-zindagī khultā hī chalā jā.egā
apne dil meñ use tasvīr kiye jā chup-chāp
shā.irī se hai 'ḳhayāl' us ko shaġhaf sheroñ meñ
apne jazbāt ko tasḳhīr kiye jā chup-chāp
Top Urdushayar.com