vahī jo hayā thī nigār aate aate
batā tū hī ab hai vo pyaar aate aate
na maqtal meñ chal saktī thī teġh-e-qātil
bhare itne ummīd-vār aate aate
ghaTī merī roz aane jaane se izzat
yahāñ aap khoyā viqār aate aate
jagah do to maiñ is meñ turbat banā luuñ
bharā hai jo dil meñ ġhubār aate aate
abhī ho ye fitna to kyā kuchh na hoge
javānī ke lail-o-nahār aate aate
ghaḌī hijr kī kaash yā rab na aatī
qayāmat ke lail-o-nahār aate aate
ḳhabar detī hai yaad kartā hai koī
jo bāñdhā hai hichkī ne taar aate aate
phir aa.e jo tum mehrbāñ jaate jaate
phirī gardish-e-rozgār aate aate
azal se abad ko to jaanā thā 'afsar'
chale aa.e ham us dayār aate aate